Roman script

ghadi aa gayi imtihaan ki 

antim pal hain ginti ke 

jaha bhi ho tum maa sul lena 

shabd hain meri binti ke 

ek baras se pinjra hain khali 

mera panchhi la do maa 

mujhko piya se mila do maa, ae maa 

aya mahal ka ud gaya hansa 

fir use vapas la do maa 

mujhko piya se mila do maa, ae maa 

lut gayi main to mera nasiba 

fut gaya hay fut gaya

bich safar me mera sathi 

chhut gaya hay chhut gaya 

subah ke bhule huye pathik ko 

saanjh pade ghar la do maa 

mujhko piya se mila do maa, ae maa 

he jagdambe meri bhanvar me 

nauka hain meri nauka hain 

dub rahi hain mujhko bacha lo 

mauka hain yahi muka hain 

bhaag me mere aag lagi hain 

aakar use bujha do maa 

mujhko piya se mila do maa, ae maa 

ek baras se pinjra hain khali 

pinjra khali 

kaha ho aao trishul wali

kaha ho aao trishul wali 

he maa he maa he maa

Explore this song