Roman script

ghav dil ke dhuyen se seete hain 

zehar pite hain aur jite hain

zehar pite hain aur jite hain 

kaun soche ki jindagi kya hain

jindagi kya hain, aadmi kya hain 

aadmi kya hain 

ye tumhare ghadi ghadi sajde 

ye tumhari ghadi ghadi puja 

rishvat hain ek rishvat hain 

bandagi kya hain 

kaun soche ki jindagi 

jindagi kya hain, aadmi kya hain 

aadmi kya hain 

ye jo shamme jalaye baithe hain 

raat ko din banaye baithe hain 

inke sine me ek kiran bhi nahi 

chand dil ke bujhaye baithe hain 

dubne do hame andhero me 

dekhne do ki roshni kya hain 

kaun soche ki jindagi kya hain

jindagi kya hain, aadmi kya hain 

pyas bujhti na hosh marta hain 

katra katra saval karta hain 

aake duniya me, kya kiya tune 

kya mila tujhko, kya diya tune 

in sawalo se dur kar de koi 

pyala khali hain, pyala khali hain mera 

pyala khali hain mera, bhar de koi 

bhar de koi

Explore this song