Roman script

gaya andhera hua ujara 

chamka chamka subah ka tara

tute dil ka bandha sahara 

chamka chamka subah ka tara

saans khushi ki tan me aayi

armano ne li angdayi

jaag uthi ummide sari

jaag uthi taqdir hamari

kahi kisi ne dur pukara

chamka chamka subah ka tara   

murjhayi kali kya phir se khilegi

khoyi hui kya rahat milegi

kahi ye tara tut na jaye

subah ka sathi chhut na jaye

ankho me rah jaye nazara

chamka chamka subah ka tara   

gayi udasi raunak chhayi

roshni ab jivan me aayi

hansi khushi ka chhedo tarana

nach uthe man jhume zamana

sama suhana pyara pyara

chamka chamka subah ka tara

Explore this song