Roman script

ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani

kahi hathi na ghode na sena koi 

na kahi thi koi rajdhani

ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani

teen bete the aankho ke tare

bade pyare pyare dilo ke sahare

vo the raja ke anmol moti 

nigaho ki jyoti the maa ke dulare

palko ki chav me guzra tha bachpan

masti me doobi jawani

ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani

ek aisa agar din bhi aaya jisne raja ko nirdhan banaya

ho gaye khali sare khajane haye kaisa ye andher chaya

vo jo bete the aankho ke tare raja rani ke dil sahare

kaam aise me vo bhi naa aaye 

chupte firte the aankhe churaye

aaram ke sathi kya kya the jab vaqt padha to koi nahi

dhan daulat ke sab rishte hai dhan ruth gaya to koi nahi

kon girte ko deta sahara vo raja bechara thaka aur hara

sochta tha kaha hai vo moti

vo aankho ki jyoti bane jo sahara

raja to chup chap pita tha aansu

chup chup ke roti thi rani

ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani

ho gaya apna khoon paraya ho gaya apna khoon paraya

kaam magar ek chaakar aaya ek bhola insan vaha tha

bachpan se mehman vaha tha usne jiske tukde khaye

sada usi ke panv dabaye un bedardo ki mehfil me 

ek vahi hamdard bacha tha lekin malik ko kya deta

bechare ke paas hi kya tha

apne malik ke kadmo me ro ro ke

khush hota charan uske dho dho ke

apna tan man nayochavar vo karta raha

ek ishare pe malik ke marta raha

hai kahani magar baat kal hi ki hai

na samjhna ise tum purani

ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani

Explore this song