Roman script

ek mera dil ek unka dil

ek mera dil ek unka dil

do prem gagan ke tare hai

do nain mere do nain unke

kya kya chhup chhup ke ishare hai

ek mera dil ek unka dil

us surat ke diwane bane

us deepak ke parwane bane

ye pyar ka bandhan kya kahna

hum unke hai wo hamare hai

ek mera dil ek unka dil

ye aasu darde mohabbat ke

koi inki kimat kya jane

aankho se gire do moti hai

palko pe rahe to tare hai

ek mera dil ek unka dil

do prem gagan ke tare hai

ek mera dil ek unka dil

Explore this song