Roman script

bhikha baat adham ki bhikha baat adham ki

kahan sunan ki nahi

jo jane so kahe nahi jo kahe so jane nahi

ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai

ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai

simate to dile aashiq faile to jamana hai

ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai

aankho me nami si hai chup chup se vo baithe hai

najuk si nigaho me najuk sa fasana hai

ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai

ye ishq nahi aasan itna hi samjh lijiye

ek aag ka dariya hai aur dub ke jana hai

ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai

dil sange malamat ka har chand nishana hai

dil fir bhi mera dil hai dil hi to jamana hai

ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai

aashu to bahut se hai aankho me jigar le ke

bind jaye so moti hai reh jaye so dana hai

ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai

simate to dile aashiq faile to jamana hai

ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai

Explore this song