Roman script

ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile

maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

zindagi aur bata tera irada kya hai

mujhko paida kiya sansaar me do laasho ne

aur barbaad kiya qaum ke ayyaasho ne

tere daaman me bata maut se zyada kya hai

zindagi aur bata

zindagi aur bata tera irada kya hai

ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile

maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

jo bhi tasvir banata hu bigad jaati hai

jo bhi tasvir banata hu bigad jaati hai

dekhte-dekhte duniya hi ujad jaati hai

meri kashti tera tufaan se vaada kya hai

zindagi aur bata

zindagi aur bata tera irada kya hai

ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile

maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

tune jo dard diya uski qasam khaata hu

tune jo dard diya uski qasam khaata hu

itna zyada hai ki ehsaan se daba jaata hu

meri taqdir bata aur taqaaza kya hai

zindagi aur bata

zindagi aur bata tera irada kya hai

ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile

maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

maine jazbaat ke sang khelte daulat dekhi

apni aankho se mohabbat ki tijaarat dekhi

aisi duniya me mere vaaste rakha kya hai

zindagi aur bata

zindagi aur bata tera irada kya hai

ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile

maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

aadami chaahe to taqadir badal sakta hai

puri duniya ki vo tasvir badal sakta hai

aadami soch to le uska irada kya hai

aadami soch to le uska irada kya hai

Explore this song