Roman script

ek hai jharna ek hai nadiya

ek sagar gahra hai

ek hai jharna ek hai nadiya

ek sagar gahra hai

bahta jal kab ek jagah par thahra hai

ek hai jharna 

ye jiwan hai janjal ghana

jo raja tha chandal bana

ye phulo ki rajkumari

rani thi ab hai panihari

maa se beta chut gaya hai

iska sapna tut gaya hai

tap kar sona kundan banta

wohi asli sehra hai

bahta jal kab ek jagah par thahra hai

ek hai jharna

hai kam kisi ka hath kisi ke

kuch din mithe kuch din tikhe

ye hai dasi ki bhi dasi

tan chah kar hai man sanyasi

pran palenge raja rani

dekhe kisme kitna pani

jo pani ka geet na samjha

aisa jag to gahra hai

bahta jal kab ek jagah par thahra hai

ek hai jharna

jite ji marna padta hai

anchaha karna padta hai

dukhiyara darpan rota hai

bach ke jite kya hota hai

pardesi nanha banjara 

ab sukha jharna bechara

do naino ke jal me jhaka

jag ka kala chehra hai

bahta jal kab ek jagah par thahra hai

ek hai jharna ek hai nadiya

ek sagar gahra hai

ek hai jharna

Explore this song