Roman script

ek bewfa ko dil ka sahara samajh liya

patthar ko humne, aankh ka tara samajh liya

ek bewfa ko dil ka sahara samajh liya

dushman ko humne, jaan se pyara samajh liya

apna hi tha kasur jo, tufan me ghir gaye

o apna hi tha kasur jo, tufan me ghir gaye

ek mouj thi ke jisko kinara samajh liya

patthar ko humne, aankh ka tara samajh liya

jadubhari nigah ke dhokhe me aa gaye

jadubhari nigah ke dhokhe me aa gaye

bhule se apne dil ko tumhara samajh liya

dushman ko humne, jaan se pyara samajh liya

ek bewfa ko dil ka sahara samajh liya

dushman ko humne, jaan se pyara samajh liya

Explore this song