Roman script

ek bar jhalak dikhal ke hame kismat ka sitara dub gaya

kashti to bechari kashti thi, pani me kinara dub gaya

isi ka nam dunia hai 

isi ka nam dunia hai to dunia dekh li maine

isi ka nam dunia hai 

kisi ki aarazu ka khun karke kya mila mujhko

kya mila mujhko

ki apne dil ki dunia bhi ujadte dekh li maine

ki apne dil ki dunia bhi ujadte dekh li maine

isi ka nam dunia hai 

meri aankho ke aage lut raha tha qafila dil ka

qafila dil ka

qayamat hai ki jite ji qayamat dekh li maine

qayamat hai ki jite ji qayamat dekh li maine

isi ka nam dunia hai 

meri andhi javani ne mujhe barbad kar dala

barbad kar dala

kisi ki bevafai par luta di zindagi maine

kisi ki bevafai par luta di zindagi maine

isi ka nam dunia hai to dunia dekh li maine

isi ka nam dunia hai

Explore this song