Roman script

ek baar dharti par aakar dekh jara bhagwan

tere hatho aaj hua bardad tera insan

dekh jara bhagwan aakar dekh jara bhagwan

aakar dekh jara bhagwan

ek baar dharti par aakar dekh jara bhagwan

tere hatho aaj hua barbad tera insan

aakar dekh jara bhagwan

aakar dekh jara bhagwan

julm kiya kyo palanhare chita bani hai dware-dware

ma ki godi aaj bani hai ek jalta shamshan

ma ki godi aaj bani hai ek jalta shamshan

dekh jara bhagwan aakar dekh jara bhagwan

aakar dekh jara bhagwan

bichhad gaya hai bahan se bhai, dulhan ki tuti shahnai

haye pita ne marte dekha 

haye pita ne marte dekha apna putra jawan

dekh jara bhagwan aakar dekh jara bhagwan

aakar dekh jara bhagwan

mandir ki ro rahi divare, hum sab ki ab yahi pukare

wahi hai dharti wahi gagan hai

wahi hai dharti wahi gagan hai kaha tera iman

dekh jara bhagwan aakar dekh jara bhagwan

aakar dekh jara bhagwan

kaise ho tum khevanhare, kashti dubi yahan kinare

kitne nirdosho ke nikle

kitne nirdosho ke nikle tadap tadap ke pran

dekh jara bhagwan aakar dekh jara bhagwan

aakar dekh jara bhagwan

tera dekha kub tamasha palat gaya kismat kaa pasa

badal dal ab naam tu apna

badal dal ab naam tu apna o re daya nidhan

dekh jara bhagwan aakar dekh jara bhagwan

aakar dekh jara bhagwan

aakar dekh jara bhagwan

Explore this song