Roman script

dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai

dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai

umr bhar ka gam hame inaam diya hai

dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai

umr bhar ka gam hame inaam diya hai

tufaan me hamko chhod  ke saahil pe aa gaye, aa

tufaan me hamko chhod  ke saahil pe aa gaye

saahil pe aa gaye

naakhuda ka

naakhuda ka hamne jinhe naam diya hai

umr bhar ka gam hame inaam diya hai

dushman na kare o

pehle to hosh chhin liye zulm-o-sitam se, aa

pehle to hosh chhin liye zulm-o-sitam se

zulm-o-sitam se

diwaanagi ka

diwaanagi ka phir hame ilzaam diya hai

umr bhar ka gam hame inaam diya hai

dushman na kare o

apne hi giraate hai nasheman pe bijaliya, aa

apne hi giraate hai nasheman pe bijaliya

nasheman pe bijaliya

gairo ne aa ke

gairo ne aa ke phir bhi use thaam liya hai

umr bhar ka gam hame inaam diya hai

dushman na kare o

ban ke raqib baithe hai wo jo habib the, aa

ban ke raqib baithe hai wo jo habib the

wo jo habib the

yaro ne khub

yaro ne khub farz ko anjaam diya hai

umr bhar ka gam hame inaam diya hai

dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai

umr bhar ka gam hame inaam diya hai

Explore this song