Roman script

duniya mujhko pagal samjhe ya samjhe aavara

mai duniya ki seva karne phirta mara-mara o

takat se bharpur rakhi hain apni dono baju

insaf ko aise taule jaise hoy taraju 

jisme ho kuchh himmat-timmat

lad ley woh dubara e ji lad ley woh dubara

duniya mujhko pagal samjhe ya samjhe aavara

mai duniya ki seva karne phirta mara-mara 

dukh me ho koyi budha sudha ya koyi ladki-madki

unhe bachane meri takat bijali ban kar kadki

kar le do-do hath chahe wo

rustam ho ya dara are rustam ho ya dara

duniya mujhko pagal samjhe ya samjhe aavara

mai duniya ki seva karne phirta mara-mara 

andhi ban ke jau aur tufan ban ke chhau

jis rukh par bhi mai chahu iss duniya ko ley jau

tinaka hai ye duniya mai hu

tufano ki dhara are tufano ki dhara

duniya mujhko pagal samjhe ya samjhe aavara

mai duniya ki seva karne phirta mara-mara 

duniya mujhko pagal samjhe ya samjhe aavara

mai duniya ki seva karne phirta mara-mara o

Explore this song