Roman script

do din ki bahare khatm hui 

arman bhara dil ro hi diya 

do din ki bahare khatm hui 

ulfat ki kahani itni thi 

paya bhi unhe aur kho bhi diya 

do din ki bahare khatm hui 

ummid ka suraj chamaka tha 

sawan ki andheri raat liye 

malim na tha milane ki ghadi 

aayegi judai sath liye 

kismat ne hame dhokha dekar 

aabad kam aur barbad kiya 

do din ki bahare khatm hui 

fariyad bani hontho ki hansi 

gam dil ki tamnna lut gaya 

ek geet bichha ke ruth gai 

ek taar baja aur tut gaya 

in jagati aankhon se hamane 

ek khwab adhura dekh liya 

ulfat ki kahani itni thi 

paya bhi unhe aur kho bhi diya 

do din ki bahare khatm hui

Explore this song