Roman script

dil mile kyun kar mile dil mile kyun kar mile 
jab hum yaha tum waha dil mile kyun kar mile 
wo bhi din the pyar ke dil ki gali aabad thi 

bhulkar sab kuchh kahani prem ki bagiya me thi 
ab kaha wo dil khile ab kaha wo dil khile 
jab hum yaha tum waha dil mile kyun kar mile 
kya yuhi apni jawani kaid me kumbhlayegi 

khilne se pehle hi kya dil ki kali murjhayegi 
gul khile kaise khile gul khile kaise khile 
jab hum yaha tum waha dil mile kyun kar mile 
laakh chaha mil sake na kis kadar mazbur hain 

aag hai sabki nazar me fhir bhi tumse dur hai 
kash jag ka dil hile kash jag ka dil hile 
jab hum yaha tum waha dil mile kyun kar mile 
roye ja bulbul roye ja tera nasiba phut gaya 
tera nasiba phut gaya 
phul khile to kaise khile jab baag ka maali ruth gaya 
tera nasiba phut gaya tera nasiba phut gaya 
dil ki khushi hotho ki hasi pal bhar me bani aasu ki jhadi 

ek hawa ke jhokho se pal me gira aur tut gaya 
tera nasiba phut gaya tera nasiba phut gaya 
chain nahi aaram nahi jine ka armaan nahi 
chain nahi arman nahi jine ka armaan nahi 
naaz uthane wale ka jab hath se daman chhut gaya 
tera nasiba phut gaya tera nasiba phut gaya 
roye ja bulbul roye ja tera nasiba phut gaya 
tera nasiba phut gaya

Song details

Song video

Watch on YouTube