Roman script

kuch naik kam kar ja duniya me nam kar ja

marne ke bad ka bhi kuch intzam kar ja

kuch naik kam kar ja duniya me nam kar ja

marne ke bad ka bhi kuch intzam kar ja

kuch naik kam kar ja duniya me nam kar ja

miti ka tu hai putala ye jism tera pani

tu to nahi rahega rah jayegi kahani

tu apne dastane duniya me aam kar ja

kuch naik kam kar ja duniya me nam kar ja

humdard sabka banke insaniyat dikha ja

jo bhi tujhe pukare uske hi kam aa ja

sabki duvaye le ja sabko salam kar ja

kuch naik kam kar ja duniya me nam kar ja

sabse badi ibadat logo ke kam aana

khud bhukh sah ke dekh bhukho ko apna khana

do din ki zindagi ki to yuhi tamam kar ja

kuch naik kam kar ja duniya me nam kar ja

hai mot teri manjil aur zindagi safar hai

tute na dil kisi ka har dil khuda ka ghar hai

bando ki uspe khidmat tu subha sham kar ja

kuch naik kam kar ja duniya me nam kar ja

marne ke bad ka bhi kuch intzam kar ja

Explore this song