Roman script
dil me basa ke meet bana ke bhul naa jana prit puraani bhul naa jana, dil me basa ke ye meri khamosh nigaahe jalte aansu, thandi aahe, le ja le ja ye dil ka najrana, bhul naa jana preet purani bhul naa jana, dil me basa ke aaj bahaare ruth chali hain dil ki ummide toot chali hain aaj bahaare ruth chali hain, chhlak raha chhlak raha gum ka paimana bhul naa jana prit purani bhul naa jana, dil me basa ke
Explore this song
- Singer: Talat Mahmood
- Film / album: Doraha (1952)
- Composer: Anil Biswas
- Lyricist: Prem Dhawan