Roman script

dil ka haal sune dil wala

dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala

kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala

aji dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala

kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala

chhote se ghar me garib ka beta, mai bhi hu maan ke nasib ka beta

ranj-o-gam bachpan ke saathi, aandhiyo me jali jivan baati

bhukh ne hai bade pyaar se paala

dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala

kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala

haay karn kya surat aisi, gaath ke pure chor ke jaisi 

chalta phirta jaan ke ek din, bina dekhe pahchaan ke ek din

baandh ke le gaya police wala

dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala

kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala

budhe daroga ne chashme se dekha

budhe daroga ne chashme se dekha 

aage se dekha pichhe se dekha, upar se dekha niche se dekha

bola ye kya kar baithe ghotala, haay ye kya kar baithe ghotala

ye to hai thaanedaar ka saala 

dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala

kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala

gam se abhi aazad nahi mai, khush magar aabad nahi mai

manzil mere paas khadi hai, paanv me lekin bedi padi hai

taang deta hai daulat wala

dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala

kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala

sun lo magar ye kisi se na kahna, tinke ka leke sahara na bahna

bin mausam malhaar na gaana, aadhi raat ko mat chillana

varna pakad lega police wala

dil ka haal sune dil wala, sidhi si baat na mirch masala

kah ke rahega kahne wala, dil ka haal sune dil wala

Explore this song