Roman script

dil chhed koi aisa nagma
geeto me jamana kho jaye
dil chhed koi aisa nagma
ye aah meri duniya ke liye 
ye aah meri duniya ke liye 
kushiyo kaa tarana ho jaye
dil chhed koi aisa nagma
aawaj mere tute dil ki
duniya ke dilo ko tadpa de
aawaj mere tute dil ki
duniya ke dilo ko tadpa de
patthar kaa jigar bhi sunke jise
ek baar to pani ho jaye
dil chhed koi aisa nagma
hai jisne hame yah dard diya
hai jisne hame yah dard diya
hum usko duwaye dete hain
ye dard dava ban jaega
ek din jo purana ho jae
dil chhed koi aisa nagma
hai tujhko kasam ai dil ki jalan
aankho me na ansu aajaye
hai tujhko kasam ai dil ki jalan
aankho me na ansu aajaye
aisa na ho tere rone se
mehfil me tamasha ho jae
dil chhed koi aisa nagma
geeto me jamana kho jaye
dil chhed koi aisa nagma

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Ashok Kumar, Geeta Bali