Roman script

dheere bol bairan payaliya 
dheere bol bairan payaliya 
koi sun le na desh paraya hai 
dheere bol bairan payaliya 
yahan lakhon hai jaadugar chhaliya 
yahan lakhon ne chain gawaya hai 
dheere bol bairan payaliya 
yahan preet ki reet na jane koi 
yahan pyar ko na pahchane koi 
yahan preet ki reet na jane koi 
yahan pyar ko na pahchane koi 
na na karte lut jayenge, kitno ne 
dhokha khaya hai, dheere bol bairan payaliya 
main anjaan hu bholi-bhali re 
dar lage umar mori baali  re 
main anjaan hu bholi-bhali re 
dar lage umar mori baali re 
kaliyon ko khilne se pahle 
bhanwron ne ghat lagaya hai 
dheere bol bairan payaliya 
yahan ras ke lobhi rasiye hain 
aur roop ke lobhi chhaliye hain 
koi sunder panchhi ud na sake 
lakhon ne jaal bichhaya hai 
dheere bol bairan payaliya 
koi sun le na desh paraya hai 
dheere bol bairan payaliya

Song details

Song video

Watch on YouTube