Roman script

dharti kyu viprit hui or kyu virudh aaksash hua

abhi abhi tha rajtilak rajtilak or abhi abhi banwas hua

ek or the vachan pita ke vachan vijayi mata ki chal

ek or tha awadhpuri ka vaibhaw shali rajya vishal

ram tumhare amar tyag ko bhul nahi sakta itihas

mahlo ka madhupas chodkar apnaya ban ka banwas

ruk jao more ram pyasi anhkiya tumhe pukare

pyasi anhkiya tumhe pukare ruk ja o ban basi ram

ek pal bhar jhalak dekh le palke karle tumhe parnam

ruk jao ruk ja o ban basi ram

ruk jao more ram

jiwan ke sringar sajaye

hamne ghar ghar deep jalaye

kisne kiya parhar ke 

mangal mala ke moti bikhraye

aasha ke mangal geeto par

aasha ke mangal geeto par

chale lagakar puran viram

ruk jao ruk ja o ban basi ram

ruk jao more ram

tum raghukul ki shan le chale

hum sab ki muskan le chale

awadh puri se vida hue kya 

avadhpuri ke pran le chale

aasha me kya chupi nirasha

sukh hai kya dukh ka upnam

ruk jao ruk ja o ban basi ram

ruk jao more ram

Explore this song