Roman script

jundhariya kat ti jaaye re

umariya ghat ti jaaye re

kaam kathan hai jiwan thoda

kaam kathan hai re

kaam kathan hai jiwan thoda

paglaa mann ghabraaye

jundhariya kat ti jaaye re

umariyaa ghat ti jaaye re

dukh-dard sahe banjaare bhaiya

dhup me dekhe taare

din-raat bahaaye pasina hum 

kuch haath na aaye hamaare 

kuch haath na aaye hamaare

hamari saari mehnat maayaa

thagawaa thag le jaaye

jundhariya kat ti jaaye re

umariya ghat ti jaaye re

dharti pe kitne baaraa-maase

beet gaye re aa ke raamaa

beet gaye re aa ke

duniya ke liye hai leela teri

hmare bhaag me phaanke raamaa

hmare bhaag me phaanke

kaagaj ho to baanch lun raamaa

bhaag na baancho jaaye

jundhariya kat ti jaaye re

umariya ghat ti jaaye re

sansaar me tere lut machi

aur jaan ke pad gaye laale 

aur jaan ke pad gaye laale 

ab rok janam ki chakki re 

ab rok janam ki chakki re

sansaar chalaane waale 

sansaar chalaane waale

kaal padaa hai roti ka aur

duniya badhati jaaye

jundhariya kat ti jaaye re

umariya ghat ti jaaye re

Explore this song