Roman script

chhota sa bhaiya humara, bahna ke dil ka dulara

suraj ne dekha chanda ne dekha sabko lage kitna pyara

tu hi to hain meri duniya, kaise ye chhutegi

bhai bahan ke milan ki, dori na tutegi

jag me kahin rahe tu, dungi main tujhko sahara

chhota sa bhaiya humara, bahna ke dil ka dulara

hoga bada jis din tu, lekar dua meri

hoga bada jis din tu, lekar dua meri

pyar se charcha karega, sara zamana teri

kadmo ke niche hoga, duniya ka duja kinara

chhota sa bhaiya humara, bahna ke dil ka dulara

suraj ne dekha chanda ne dekha sabko lage kitna pyara

chhota sa bhaiya humara, bahna ke dil ka dulara

Explore this song