Roman script

chhod chali ghar tera babul 
piya ke ghar jana babul 
piya ke ghar jana
chhod chali ghar tera
chhod chali ghar tera
bachpan mera bachpan 
tere daware aa ke khela 
bachpan mera bachpan 
tere daware aa ke khela 
chitvan man ki chitvan 
dekhe biti yaado ka mela 
chal di mai to jaise panchhi 
kar jaye rain basera 
chhod chali ghar tera
chhod chali ghar tera babul
piya ke ghar jana babul 
piya ke ghar jana
chhod chali ghar tera
ankhiya gili ankhiya 
rim jhim nir bahati
ankhiya gili ankhiya 
rim jhim nir bahati 
sakhiya pyari sakhiya 
chalti chalti gale lagati
tan ke pas ujala dekha
man ke pas andhera 
chhod chali ghar tera
maiya tulsi maiya 
kaise hogi sandhya bati
maiya tulsi maiya 
kaise hogi sandhya bati
bhaiya mere bhaiya 
kaise mai tujhko samjhati
jane tere is jiwan me kab ho naya sawera 
chhod chali ghar tera
chhod chali ghar tera babul 
piya ke ghar jana babul 
piya ke ghar jana
chhod chali ghar tera

Song details

Song video

Watch on YouTube