Roman script

chand jane kaha kho gaya

chand jane kaha kho gaya

tumko chehre se parda hatana na tha

chandani ko yeh kya ho gaya

chandani ko yeh kya ho gaya

tumko bhi iss tarah muskurana na tha

chand jane kaha kho gaya

pyar kitna jawan, rat kitani hasi

aaj chalte huye tham gayi hain jamin

tham gayi hain jamin

aankh tare jhapakne lage

aankh tare jhapakne lage

aisi ulfat ka jadu jagana na tha

chand jane kaha kho gaya

pyar me bekhabar, ham kaha aa gaye

meri aankho me sapne se kyo chha gaye

pyar me bekhabar, ham kaha aa gaye

meri aankho me sapne se kyo chha gaye

kyo chha gaye

do dilo ki hain manjil yaha

do dilo ki hain manjil yaha

tum na aate toh hamko bhi aana na tha

tumko bhi iss tarah muskurana na tha

chand jane kaha kho gaya

chand jane kaha kho gaya

Explore this song