Roman script

chalta rahe ye karwa, umr-e-rava ka karwa

umr-e-rava ka karwa

chalta rahe ye karwa, umr-e-rava ka karwa

shaam chale, pehar chale manzil se bekhabar chale

bas yuhi umr bhar chale, ruk na sake yaha vaha

chalta rahe ye karwa, umr-e-rava ka karwa

phule phale meri kali gam na mile tujhe kabhi

guzre khushi me zindagi, aaye na mausam-e-khiza

chalta rahe ye karwa, umr-e-rava ka karwa

duniya ka tu habib ho manzil teri qarib ho

insan tera nasib ho, tujh pe khhuda ki ho amaa

chalta rahe ye karwa, umr-e-rava ka karwa

Explore this song