Roman script

dwar tihare aayi hu 
maiya rakhle maan
aaj tere hi hatho me hai 
ek nirbal ke pran
bujhti hui is jyot ko 
tu phir se jaga de
bujhti hui is jyot ko 
tu phir se jaga de
mitati hui ek aas ko 
tu phir se badha de
bujhti hui is jyot ko 
tu phir se jaga de
dube nahi maiya, ye kisi aankh ka tara
tute nahi ummid bhare dil ka sahara
dube nahi maiya ye kisi aankh ka tara
ek dil ka ujadta hua sansar basa de
bujhti hui is jyot ko 
tu phir se jaga de
bujhti hui is jyot ko 
tu phir se jaga de
pate hai murade apni yaha sare sawali
kya mai hi chali jau, tere dwar se khali
kya mai hi chali jau, tere dwar se khali
tu le le mere pran, le le mere pran
magar inko dila de
tu le le mere pran, le le mere pran
magar inko dila de
ho maiya inko dila de
ho maiya inko dila de
ho maiya inko dila de
ho maiya inko dila de

Song details

Song video

Watch on YouTube