Roman script

bigdi baat bana de raam 
naiya paar laga de raam 
yug yug se mein bhatkate raha 
yug yug se mein bhatkate raha 
ab to raha dekha de raam
bigdi baat bana de raam 
raam he raam siyaram ho raam 
ghor andhera aaya hai 
man panchhi ghabraya hai 
moh maya ke chakar mein 
ye murkh bharmaya hai 
ab to andhera dur karo 
ab to andhera dur karo 
gyan kahi se jaga de raam 
bigdi baat bana de raam 
tumne jeevan dan diya 
kitna bada ehsan kiya 
humne magar us jeevan ka 
pag pag par apmaan kiya 
jaise hai hum tere hai 
bhale bure prbhu tere hai 
gun awgun bisara de raam
bigdi baat bana de raam 
naiya paar laga de raam 
raam he raam siyaram ho raam

Song details

Song video

Watch on YouTube