Roman script

bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo

bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo

bhed kaun kholegaa munh se kaun bolegaa

bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo

jantaa bholi-bhaali hai pet bhi jeb bhi khaali hai

naaro se garmaa do lahu vaado se bahlaae chalo

vaado se bahlaae chalo

bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo

badhti jaae hai mehngaai ghatti jaye hai kamayi

chizo ke daam badhae chalo insaa ka bhaav giraye chalo

insaa ka bhaav giraye chalo

bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo

haatho me kuchh note lo 

haatho me kuchh note lo phir chaaho jitne vote lo

khote se khotaa kaam karo baapu ko nilaam karo

are baapu ki tasvir hai ye

tere baap ki kyaa jaagir hai ye

baapu-baapu karte raho

zahar dilo me bharte raho

basti-basti aag lage

har insaan ik naag lage

praant-praant ko tang kare

bhasha se bhasha jang kare

koi yahaan maliyaali, koi yahaan bangali

gujarati hai koi yahaan, punjabi hai koi yahaan

ye hai maratha aur vo tamil

aapas me yaari hai mushkil

sabko chaahiye apani zami hindustaani koi nahi

hindustaani koi nahi, hindustaani koi nahi

desh kahaan ab desh rahaa, desh kahaan ab desh rahaa

desh to simaao me bataa

aur bhi tukde udaae chalo

kursi apni bachaye chalo

kursi apni bachaye chalo

bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo

Explore this song