Roman script

bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana

bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana

dekho ye nataa nibhana, nibhana

bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana

bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana

bhaiya mere

ye din ye tyohaar khushi ka, pawan jaise neer nadi ka

bhai ke ujle maathe pe, bahan lagaye mangal tika

jhume ye sawan suhana, suhanaa

bhaiya mere

bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana

bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana

bhaiya mere

baandh ke humne resham dori, tum se wo ummed hain jodi

naajuk hain jo saans ke jaisi, par jivan bhar jaye na todi

jane ye sara zamana, zamana

bhaiya mere

bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana

bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana

bhaiya mere

shayad wo sawan bhi aaye, jo bahna ka rang na laye

bahan paraye desh basi ho, agar wo tum tak pahunch na paye

yaad ka deepak jalana, jalana

bhaiya mere

bhaiya mere, raakhi ke bandhan ko nibhana

bhaiya mere, chhoti bahan ko na bhulana

bhaiya mere

Explore this song