Roman script

bhagwan ki dekho bhul bichad gaya dali se 

ek phul raha ab kisse nata aasman ab pita hai iska 

or dharti hai mata bhagwan ki dekho bhul

ye kismat ki bat hai kali rat or kanto se ghira hai gulab

vidhi ne na jane kin ghadiyo me likhi hai ye kitab

likhi hai ye kitab ab samaaj ke atyacharo ka 

jab chakkar chalega dar lagta hai tufano me 

kaise diya jalega kaise diya jalega

diya jis malik ne pran usi ki hogi ab pehchan

jo baalak sab ka kahaata aasman ab pita hai iska 

or dharti hai mata bhagwan ki dekho bhul

ye kisne chedi sahnayi kiski chali hai doli 

kis bhai se bichad chali hai ye behna anboli ye behna anboli

ik pyar tha wo bhi ruth chala ek tar tha wo bhi tut chala

do nanhi nanhi aankho se aasu ka jharna fut chala

aasu ka jharna fut chala hui dur ye sar se chaw

behen bhi chali hai apne gaw kaun ab dhir bandhata

aasman ab pita hai iska or dharti hai mata

bhagwan ki dekho bhul bichad gaya dali se ek phul

raha ab kisse nata aasman ab pita hai iska 

or dharti hai mata bhagwan ki dekho bhul

Explore this song