Roman script

beraham aasma meri manzil bata hai kaha

beraham aasma meri manzil bata hai kaha

mujhse kismat ne dhokha kiya

har kadam par naya gum diya

hai khushi ki kasam ki yaha

chain ka sans tak na liya

bujh gaya dil mera

ras aaya na tera jaha

beraham aasma meri manzil bata hai kaha

teri duniya me hi hum jiye

aasuo ki samundar piye

dil pe kitne tadapte rahe

hoth lekin humesha kiye

teri duniya me yu bejuda

beraham aasma meri manzil bata hai kaha

ab koi bhi tamanna nahi

ab yaha hamko jeena nahi

zindagi ab tere jam se

ek katra bhi china nahi

maut ko bhej ke khatam kar de

meri dasta

beraham aasma meri manzil bata hai kaha

Explore this song