Roman script

beraham aasmaa meri manzil bata hai kaha

beraham aasmaa

jo na socha tha wo ho gaya

kyu nasiba mera so gaya

gam ki aisi ghata chha gayi

chain dil ka kahi kho gaya

ye bata kis liye

le raha hai mera imtihaan

beraham aasmaa 

bujh gaya hai ye dil is tarah

chaand pichhle pahar jis tarah

itni taarikiyo me bata

raah dhundhe koi kis tarah

kho gayi manzile

ho gaya gum kahi karvaa

beraham aasmaa

jaa rahe hai na jaane kidhar

dekh sakti nahi kuchh nazar

chhod di naav majhdhaar me

kis kinaare lage kya khabar

kya kare dur tak

roshani ka nahi hai nishaan

beraham aasmaa meri manzil bata hai kaha

beraham aasmaa

Explore this song