Roman script

begunaho ka lahu hai ye rang layega

begunaho ka lahu hai ye rang layega

dag daman pe na aaya to dil pe aayega

aane wala hai din kayamat ka

koi jalim na baksha jayega koi jalim na baksha jayega

begunaho ka lahu hai ye rang layega

hamare bhai hue hum na hue karbala ke sitam to kam na hue

julm dunia me ab bhi jinda hai aadmiyat hai ke sharminda hai

aadmiyat hai ke sharminda hai maa sahido ki ab bhi roti hai

julm ki had bhi koi hoti hai hak parasto ko bina hak mara

haye dil gum se hai para para haye dil gum se hai para para

yadid ki ho hukumat ya kisi jalim ki

har ek julm ka insaf kiya jayega har ek julm ka insaf kiya jayega

aane wala hai din kayamat ka koi jalim ka baksha jayega

begunaho ka rang hai ye rang layega

jarre jarre me gujar hak ka hai sabki harkat pe najar rakhta hai

nek or pakshpa nahi usse khuda to sab ki khabar rakhta hai

khuda to sab ki khabar rakhta hai 

mehar pe aaye to gaffar bhi hai

keher pe utre to jaffar bhi hai yu to har deen se upar hai khuda

admiyat ka tarafdar bhi hai admiyat ka tarafdar bhi hai

shole nafrat ke dilo me na tu bhadka jalim

apni hi aag me tu aap hi jal jayega

apni hi aag me tu aap hi jal jayega

aane wala hai din kayamat ka koi jalim na baksha jayega

begunaho ka lahu hai ye rang layega

nahi kafi hai musalma hona bak nahi haki chatura hona

allah taala ka pyar pane ko lazmi hai tera insa hona

lazmi hai tera insa hona amal to sath tere ho lega

khun to sar pe chadhke bolega 

khuda majhab hi na dekhega tera

teri insaniyat bhi tolega teri insaniyat bhi tolega

pyar par rakhi hai buniyad har ek majhab ki

koi talwar pe rakhega to kya payega

koi talwar pe rakhega to kya payega

aane wala hai din kayamat ka koi jalim na baksha jayega

begunaho ka lahu hai ye rang layega

tune pyaso se pyale chine tune hotho se niwale chine

tune shame jalai kabro par or makano se ujale chine

or makano se ujale chine dilo me farak is kadar dale

tune dariya bhi khun se bhar dale ek dharti banai allah ne 

tune tukde hazar kar dale tune tukde hazar kar dale

gunah karta hai tu kiske liye soch to le

khali hatho hi tu tanha yaha se jayega

khali hatho hi tu tanha yaha se jayega

aane wala hai din kayamat ka koi jalim na baksha jayega

begunhao ka lahu hai ye rang layega

ye padosi se ladai kaisi sabhi bhai hai judai kaisi

ye tabahi ki sari bate hai isme insa ki bhalai kaisi

isme insa ki bhalai kaisi nek niyat ko tu arman karle

admiyat ko tu iman karle yahi islam ki nashihat hai

apne dil ko bhi musalma karle apne dil ko bhi musalma karle

had se aage na tu badh waqt hai karle tauba

roz samjhane ko parwesh nahi aayega

roz samjhane ko parwesh nahi aayega

aane wala hai din kayamat ka koi jalim na baksha jayega

begunhao ka lahu hai ye rang layega

dag daman pe na aaya to dil pe aayega

Explore this song