Roman script

baje baansari chale saanwari hoye baanwari ho

saari duniyaa payaar ki 

baje baansari chale saanwari hoye baanwari ho

saari duniyaa payaar ki 

chhunak chhunak mori baaje re payaliyaa

thumak thumak le ke chali hun gagariyaa

thumak thumak le ke chali

laage naa najariyaa baali hai umariyaa

bole hai gujariyaa ho

duniyaa mauj bahaar ki

baje baansari chale saanwari hoye baanwari ho

saari duniyaa payaar ki

chamak chamak man mohe re titaliyaa ho

kuhu kuhu hu bole daalo pe koyaliyaa ho 

chamak chamak man mohe re titaliyaa ho

kuhu kuhu hu bole daalo pe koyaliyaa ho 

hari hai dagariyaa phulo ki nagariyaa

chhaayi hai badariyaa ho

sudh bhuli sansaar ki

baje baansari chale saanwari hoye baanwari ho

saari duniyaa payaar ki

lahar lahar hawaa lahraaye baalo ko

chatak matak chhu jaaye gore gaalo ko

chatak matak chhu jaaye

khushi kaa zamana mausam hai suhana

mujhe naa satana ho

mai chhori nambardaar ki

baje baansari chale saanwari hoye baanwari ho

saari duniyaa payaar ki 

baje baansari chale saanwari hoye baanwari ho

saari duniyaa payaar ki

Explore this song