Roman script

badle badle rang zamana 

ho badle rang zamana 

charo aur se band ho gaye aaj pyar ke dawar

chupke chupke dard chhupaye

roye aankhiya char roye aankhiya char

kise dikhaye dukh ke aansu kis pe kare aitbaar

ghar me aaj huye hum beghar

badal gaya sansar re

badal gaya sansar

apne hi ban gaye praaye bhagy kaisa rutha

ek sahara tha ek jag me aaj hai wo bhi chhuta re

aaj hai wo bhi chhuta 

tut gaya re aaj humara sundar swapan suhana re 

badle badle rang zamana 

ho badle rang zamana

Explore this song