Roman script

baaje muraliyaa baaje

sapane hue saanche

sapane hue saanche

aaj mere sapane hue saanche

bole koyaliyaa

bole koyaliyaa kuhu kuhu man meraa naache naache

sapane hue saanche

nile nile gagan tale

nile nile gagan tale madhur madhur prit pale

gagan tale prit pale

meri paayaliyaa

meri paayaliyaa aaj magan jhanan jhanan baaje baaje

sapane hue saanche

nainan ke phul khile

nainan ke phul khile raadhaa ko shyaam mile

baaje muraliyaa

baaje muraliyaa mithi mithi bhaag mere jaage jaage

sapane hue saanche

shital pavan ke hidole

dole hr^iday meraa dole

hr^iday meraa dole

aaj haule haule

aaj haule haule man me koi piyaa piyaa bole

koi piyaa piyaa bole

mere saanvariyaa

mere saanvariyaa aaj mere nainan me raache raache

sapane hue saanche

Explore this song