Roman script

kya chiz zindagi hai, mehsus kiya hota

tukdo me agar batate, main yu na jiya hota

ae mere khuda tune itna to kiya hota

ya dil na diya hota, ya gham na diya hota

ya dil na diya hota, ya gham na diya hota

main kaise sahu badhti huyi ye duriya

le leti hai jaan pal pal meri majburiya

ab dil ko sambhalu main yaa khud ko sambhalu

tu hi bata de tanha main kis kis ko sambhalu

kya mera ab kahi koi bhi na raha

zindagi taras gayi sunane ko ek sada

mujhko bhi sambhale jo koi to diya hota

ya dil na diya hota, ya gham na diya hota

ya dil na diya hota, ya gham na diya hota

yu tanhaai se jud gaya silsila

ha mujhko kabhi dukh ke siva kuch na mila

zakhmo se nahi shikva par marham to lagata

mere liye bhi raahat ka ek lamha to banata

kis khata ki sazaa di mujhe ye bata

tujhpe kya itna bhi hak nahi tha mera

jaake daaman ye mera thoda to siya hota

ya dil na diya hota, ya gham na diya hota

ya dil na diya hota, ya gham na diya hota

kya chiz zindagi hai, mehsus kiya hota

tukdo me agar batate, main yu na jiya hota

ae mere khuda tune itna to kiya hota

ya dil na diya hota, ya gham na diya hota

ya dil na diya hota, ya gham na diya hota

Explore this song