Roman script

aur hai dil ki lagi aur dil lagana aur hai

ye kahani aur hai aur vo fasana aur hai

aur hai dil ki lagi

ruth ke jo chal diya, ruth ke jo chal diya

kya khabar usko bhala, kya khabar usko bhala

yaad rakhna aur hai aur bhul jana aur hai

aur hai dil ki lagi

jo tarana labh pe aaya, jo tarana labh pe aaya

vo to sabne sun liya, vo to sabne sun liya

rah gaya jo dil hi dil me vo tarana aur hai

aur hai dil ki lagi

haye kis khubi se luta, haye kis khubi se luta

bewfa taqdir ne, bewfa taqdir ne

teri barbaadi kaa ae dil har fasana aur hai

aur hai dil ki lagi

Explore this song