Roman script

atri muni ne prabhu swagat me

atri muni ne prabhu swagat me

apna hath badhaya tha

ansuya ne janak lali ka

saras singaar sajaya tha

saras singaar sajaya tha

dandak van me rishi muniyo se

prabhu ne mangal paya tha

panchvati ki or chale

muniyo ne panth dikhaya tha

mila jatayu ramchandr ne

sari katha sunayi

ha mila jatayu ramchandr ne

sari katha sunayi

sun dasrath ka ant jatayu ki aankhe bhar aayi

kaha ram ne jatayu deva man aansu chhalkao

tum ho pita saman humare

shiksha dekar samjhao

kaha jatayu ne ab jakar

panchvati me sukh paao

panchvati me siya lakhan ke sang aaye the raghunandan

pedo ki shital chhaya me

kuti banayi man bhavan

Explore this song