Roman script

apni najro se bahut dur chhupa du khud ko

jee me aata hai kahin rakh ke bhula du khud ko

na apna tha jo kal gujra jo ab hai woh hai gairo ka

nahi umeed ab koi kal humara kal bhi kya hoga 

humara kal bhi kya hoga 

na apna tha jo kal gujra

badi ranaaiya hongi jahan me hum nahi honge

badi ranaaiya hongi jahan me hum nahi honge

humare ek, na hone se fasane kam nahi honge

humara aaj charcha hai toh kal auro ka phir hoga

na apna tha jo kal gujra jo ab hai woh hai gairo ka

nahi umeed ab koi kal humara kal bhi kya hoga 

humara kal bhi kya hoga 

na apna tha jo kal gujra

ujadne ko hai ye mehfil, nayi aabad kar lena

ujadne ko hai ye mehfil, nayi aabad kar lena

nayi buniyad jab rakho hume bhi yaad kar lena

dukhana dil ko na hargij 

dukhakar dil ko kya hoga

na apna tha jo kal gujra jo ab hai woh hai gairo ka

nahi umeed ab koi kal humara kal bhi kya hoga 

humara kal bhi kya hoga 

na apna tha jo kal gujra

Explore this song