Roman script

andho pe daya karna data

apni ankho ki tumko kasam

is jholi ko bharna data

apni ankho ki tumko kasam

chhin jati hai jinki ye jyoti

rah jate hai thokar khane ko

chhin jati hai jinki ye jyoti

rah jate hai thokar khane ko

lut jati hai unki sab khushiya

gam rehta hai dil bahlane ko

gam rehta hai dil bahlane ko

andho pe daya karna data 

apni ankho ki tumko kasam

hamse na churao na yu ankhe

is dharti ki hi santan hai ham

hamse na churao na yu ankhe

is dharti ki hi santan hai ham

mohataaj sahi lachar sahi

phir bhi to are insan hai ham

phir bhi to are insan hai ham

andho pe daya karna data 

apni ankho ki tumko kasam

aye malik tu apni duniya me

kisi bande ko yu majbur na kar

aye malik tu apni duniya me

kisi bande ko yu majbur na kar

dene ko to de de har dukhda

ye ankhe magar benur na kar

andho pe daya karna data 

apni ankho ki tumko kasam

Explore this song