Roman script

allah bhi hai mallah bhi hai 

allah bhi hai mallah bhi hai

kashti hai ki dubi jati hai

allah bhi hai mallah bhi hai

ham dub to jayenge lekin

dono hi pe tohmat aati hai

allah bhi hai mallah bhi hai

ik shama ghiri hai aandhi me 

bujhti bhi nahi jalti bhi nahi

shamshir-e-mohabbat kya kahiye

rukti bhi nahi chalti bhi nahi

majbur mohabbat rah rah kar

har saans thokar khati hai

allah bhi hai maulah bhi hai

ek khwab najar sa aaya tha

kuchh dekh liya kuchh tut gaya

ek teer jigar par khaya tha

kuchh dub gaya kuchh tut gaya

kuchh dub gaya kuchh tut gaya

kya maut ki aamad aamad hai

kya maut ki aamad aamad hai

kyun nind si aai jati hai

allah bhi hai mallah bhi hai

Explore this song