Roman script

akeli mat jaiyo radhe jamuna ke tir

o ji o

tu ganga ki mauj, mai jamuna ka dhara

tu ganga ki mauj, mai jamuna ka dhara

ho rahega milan yeh hamara 

ho hamara tumhara rahega milan

yeh hamara tumhara

agar tu hain sagar toh majhdhar mai hu, majhdhar mai hu

tere dil ki kashti ka patwar mai hu, patwar mai hu

chalegi akele na tumse yeh naiyya, na tumse yeh naiyya

milegi na manjil tumhe bin khewaiya, tumhe bin khewaiya

chale aao ji

chale aao ji, chale aao maujo kaa lekar sahara

ho rahega milan yeh hamara tumhara 

bhala kaise tutenge bandhan yeh dil ke, bandhan yeh dil ke

bichhadati nahi mauj se mauj mil ke, mauj mil ke

chhupoge bhanwar me toh chhupne na denge, toh chhupne na denge

dubo denge naiyya tumhe dhundh lenge, tumhe dhundh lenge

banayenge ham

banayenge ham, banayenge tufan ko ek din kinara

ho rahega milan yeh hamara tumhara 

tu ganga ki mauj, mai jamuna ka dhara

tu ganga ki mauj, mai jamuna ka dhara

ho rahega milan yeh hamara 

ho hamara tumhara rahega milan

yeh hamara tumhara

tu ganga ki mauj, mai jamuna ka dhara

ho rahega milan yeh hamara 

ho hamara tumhara rahega milan

yeh hamara tumhara

tu ganga ki mauj, mai jamuna ka dhara

tu ganga ki mauj, mai jamuna ka dhara

ho rahega milan yeh hamara tumhara

Explore this song