Roman script

ae momino suno ye kahani namaz ki

ae humpe farz bandagi banda nawazgi 

ae momino suno ye kahani namaz ki

mulke arab me ek hasina ki tumhe sunau

karti thi apne rab ki ibadadat subha sham

usko namaz padne ka bachpan se shok tha

ek waqt ki namaz bhi karti na thi kaza

nanha sa ek lal tha uska gubad sa

gurbat me shikar karti thi wo beniyaz ka

masum bacha bhukh se rota jo bekarar

pani pila pila ke thapakti thi bar bar

gujre isi tarha jo musibat me tin sal

sohar ke dil me ultesafar ka hua khayal

sohar ki bat sunke wo majbur ho gayi

do dil ki ye zudai thi manjur ho gayi

biwi ko rota chhod  ke jab ghar se wo chala

masum bacha bap se apne lipat gaya

samjha ke ma ne god me bache ko le liya

wo chup rahi to ashq ne hafis khuda kaha

nikala garib ghar se to garib watan hua

jangle ki taij dhup me aur bhukh me chala

nagah ek daku ki us par padi nazar

zalim ne mara zulm se ek tir taak kar

lagte hi tir dil pe wo chakra ke gir pada

make me tin waqt se duniya se chal basa

daku karib aaya use dekhne laga

bhai ko murda dekh ke wo tharthara gaya

roya lipat lipat ke birather ki lash se

dar phodta tha apni hi bhai ko mar ke

kahta tha roke haye ye kya maine kar diya

bhai ka khun apne hi daman me bhar diya

muh pitata hua wo sehar ki taraf chala

bhabhi ko apne kahne ko kurdard mazra

ae momino suno ye kahani namaz ki

Explore this song