Roman script

abb yad na kar bhul ja ae dil wo fasana

wo pyar ki ghadiya wo mohabbat ka zamana

abb yad na kar

kyo yad tujhe aati hai biti huyi bate, 

too bhul ja

tu bhul ja wo pyar ke din pyar ki rate

abb tut chuka hai woh tera khwab suhana

woh pyar ki ghadiya wo mohabbat ka zamana

abb yad na kar

ae jhumati lehrati hui mast hawao

ae pyare najaro, rangin fizao, 

tum jake unhe aaj mera hal sunao

tum jake unhe aaj mera hal sunao

keh do ke mera dil hai tumhara hi diwana

keh do ke mera dil hai tumhara hi diwana

hai pyar ki ghadiya hai mohabbat ka zamana

aati hain mere kano me ye kiski sadaye

tum dil se khud hi puchh lo ham kyo ye bataye

yad aane laga

yad aane laga

yad aane laga, phir mujhe woh bhula fasana

wo pyar ki ghadiya wo mohabbat ka zamana

wo pyar ki ghadiya, pyar ki ghadiya 

aa ja ke abb is dard bhare dil ko bhulaye

armano ke gulashan me naye phul khilaye

ham tere hain, dil tera hai yeh bhul na jana

yeh bhul na jana

ham tere hain, dil tera hai yeh bhul na jana

bhul na jana, yeh bhul na jana

Explore this song