Roman script

aaye bhi akela, jaaye bhi akela

do din ki zindagi hai, do din ka mela

do din ka mela

aaye bhi akela, jaaye bhi akela

do din ki zindagi hai, do din ka mela

do din ka mela

teri zindagi mauj hai do ghadi ki

ye baaten hain naadaan sab jeete ji ki

sab jeete ji ki

ye duniyaan hui hai na hogi kisi ki

vahi ek manzil hai har aadmi ki

har aadmi ki

jahaan sab ko jaana padega akela

do din ki zindagi hai, do din ka mela

do din ka mela

aaye bhi akela, jaaye bhi akela

do din ki zindagi hai, do din ka mela

do din ka mela

ek baar saath deke saath na chhod ana

jaan jaaye to jaaye, dosti na todana

dosti na todana

nazaren na pher lena, munh ko na modana

duniyaan ko chhod  dena, yaar ko na chhod ana

yaar ko na chhod ana

dekho mansoor kaise, jaan pe khela

do din ki zindagi hai, do din ka mela

do din ka mela

aaye bhi akela, jaaye bhi akela

do din ki zindagi hai, do din ka mela

do din ka mela

Explore this song