Roman script

aasman vaale teri duniya se ji ghabra gaya

char din ki chandani me gam ka baadal chha gaya

jal gaya dil soz-e-gam se, jab koi yad aa gaya

aasman vaale teri duniya se ji ghabra gaya

aag me phulo ki duniya ne mera tan rakh diya

ek murde ko sajaakar naam dulhan rakh diya

bol maalik ye tamaasha tujhse kyun dekha gaya

aasman vaale teri duniya se ji ghabra gaya

kis qadar naashad hu barbaad hu viran hu

raham kar mujh par khudaya

raham kar mujh par khudaya, main bhi ek insaan hu

maut hi de de ke ab, shikva zuba par aa gaya

aasman vaale teri duniya se ji ghabra gaya

char din ki chandani me gam ka baadal chha gaya

aasman vaale teri duniya se ji ghabra gaya

Explore this song