Roman script

apne yun hi dil lagi ki thi 
apne yun hi dil lagi ki thi 
ham to dil ki lagi samajh baithe
apne bhi hame na samjhaya 
ap bhi to hansi samajh baithe
apko yad kya bhala rahata 
ham to yun hi mile the raho me
dil hamare me ap the lekin 
ham na the apki nigaho me
kya hua apne na pehchana 
kya hua apne na pehchana 
aur hame ajnabi samajh baithe
apne yun hi dillagi ki thi 
ham to dil ki lagi samajh baithe
pyar apna to ek tamasha tha 
aur ham khud hi the tamashai
aj divangi hame apni 
yad ai to ankh bhar aai
jal raha tha vo dil hamara hi 
jal raha tha vo dil hamara hi 
ham jise chandani samajh baithe
apne yun hi dillagi ki thi 
ham to dil ki lagi samajh baithe
apne bhi hame na samjhaya 
ap bhi to hansi samajh baithe

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Shashi Kapoor, Ashok Kumar, Nanda