Roman script

aankho ka tara prano se pyara

jug jug jiye mera laal re

meri umariya mil jaye tujhko

jeeta rahe sau saal re

aankho ka tara prano se pyara

pahle baras mera nanha sa raja

kun kun mun mun bole re

duje baras bole roti ko loti

maiyya ka dil dole re

mange khilaune gaadi ghode

jabke lage tija saal re

aankho ka tara prano se pyara

chauthe baras khele gilli danda

paise ma se mange re

natkhat raja ma ko sataye

ma pichhe wo aage re

pathshala me babu banakar 

jaye mera laal re

aankho ka tara prano se pyara

khushiyon ki kirnein phailaye jag mein

punam ka chanda hamara re

bole ye babul la de dulhaniya

beta jawa hai tumhara re

o meri maiyya laal dushala

beta chala sasural re

aankho ka tara prano se pyara

Explore this song